Pehli job ka offer letter: CTC 8 LPA hai toh haath mein kitna aayega? Pura breakdown
Har saal yahi scene: fresher ko 8 LPA ka offer aata hai, ghar pe mithai baant di jaati hai, "beta 66 hazar mahina kamayega". Phir pehli salary slip aati hai aur 52 hazar dikhte hain. Dekho bhai, CTC aur in-hand do alag duniya hain. Aaj pura hisaab samjhata hoon. CTC kya hota hai CTC = Cost To Company. Matlab company tum pe saal mein kitna kharch karti hai. Isme woh paisa bhi hai jo kabhi tumhare bank account mein…